Udasi Chha Gai Chehre Pe Sham-e-mahfil Ke

udasi chha gai chehre pe sham-e-mahfil ke

nasim-e-subh se shole bhaDak uThe dil ke

sharik-e-haal nahin hai koi to kya parwa

dalil-e-rah-e-mohabbat hain walwale dil ke

ajab nahin ki bapa ho yahin se fitna-e-hashr

zamane bhar mein hain sare fasad isi dil ke

na sang-e-mil na naqsh-e-qadam na bang-e-jaras

bhaTak na jaen musafir adam ki manzil ke

KHushi ke mare zamin par qadam nahin rakhte

jab aae qafile wale qarib manzil ke

nazara-e-ruKH-e-laila mubarak ai majnun

nigah-e-shauq ne parde uThae mahmil ke

mushahide ko ek aaina-e-jamal diya

kamal-e-ishq ne jauhar dikha diye dil ke

zaban-e-'yas' se afsana-e-sahar suniye

wo rona shama ka parwanon se gale mil ke

(1069) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Udasi Chha Gai Chehre Pe Sham-e-mahfil Ke In English By Famous Poet Yagana Changezi. Udasi Chha Gai Chehre Pe Sham-e-mahfil Ke is written by Yagana Changezi. Read famous Poem Udasi Chha Gai Chehre Pe Sham-e-mahfil Ke for youth and Student by Yagana Changezi. Free Download Udasi Chha Gai Chehre Pe Sham-e-mahfil Ke in PDF.