Wan Naqab UTThi Ki Subh-e-hashr Ka Manzar Khula
wan naqab uTThi ki subh-e-hashr ka manzar khula
ya kisi ke husn-e-alam-tab ka daftar khula
ghaib se pichhle pahar aati hai kanon mein sada
uTTho uTTho rahmat-e-rabb-e-ula ka dar khula
aankh jhapki thi tasawwur bandh chuka tha yar ka
chaunkte hi hasrat-e-didar ka daftar khula
ku-e-jaanan ka saman aankhon ke aage phir gaya
subh-e-jannat ka jo apne samne manzar khula
rang badla phir hawa ka mai-kashon ke din phire
phir chali baad-e-saba phir mai-kade ka dar khula
aa rahi hai saf bu-e-sumbul-e-bagh-e-jinan
gesu-e-mahbub shayad meri mayyat par khula
chaar-diwar-e-anasir phand kar pahunche kahan
aaj apna zor-e-wahshat arsh-e-azam par khula
chup lagi mujh ko gunah-e-ishq sabit ho gaya
rang chehre ka uDa raaz-e-dil-e-muztar khula
ashk-e-KHun se zard chehre par hai kya turfa bahaar
dekhiye rang-e-junun kaisa mere munh par khula
KHanjar-e-qatil se jannat ki hawa aane lagi
aur bahaar-e-zaKHm se firdaus ka manzar khula
nim-jaan chhoDa teri talwar ne achchha kiya
eDiyan bismil ne ragDin sabr ka jauhar khula
sohbat-e-waiz mein bhi angDaiyan aane lagin
raaz apni mai-kashi ka kya kahen kyunkar khula
hath uljha hai gareban mein to ghabrao na 'yas'
beDiyan kyunkar kaTin zindan ka dar kyunkar khula
(1211) Peoples Rate This