Yaksan Kabhi Kisi Ki Na Guzri Zamane Mein

yaksan kabhi kisi ki na guzri zamane mein

yaadash-ba-KHair baiThe the kal aashiyane mein

sadme diye to sabr ki daulat bhi dega wo

kis chiz ki kami hai saKHi ke KHazane mein

ghurbat ki maut bhi sabab-e-zikr-e-KHair hai

gar hum nahin to nam rahega zamane mein

dam bhar mein ab mariz ka qissa tamam hai

kyunkar kahun ye raat kaTegi fasane mein

saqi main dekhta hun zamin aasman ka farq

arsh-e-barin mein aur tere aastane mein

diwaren phand-phand ke diwane chal base

KHak uD rahi hai chaar taraf qaid-KHane mein

sayyaad is asiri pe sau jaan se main fida

dil-bastagi qafas ki kahan aashiyane mein

hum aise bad-nasib ki ab tak na mar gae

aankhon ke aage aag lagi aashiyane mein

diwane ban ke un ke gale se lipaT bhi jao

kaam apna kar lo 'yas' bahane-bahane mein

(1069) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaksan Kabhi Kisi Ki Na Guzri Zamane Mein In English By Famous Poet Yagana Changezi. Yaksan Kabhi Kisi Ki Na Guzri Zamane Mein is written by Yagana Changezi. Read famous Poem Yaksan Kabhi Kisi Ki Na Guzri Zamane Mein for youth and Student by Yagana Changezi. Free Download Yaksan Kabhi Kisi Ki Na Guzri Zamane Mein in PDF.