Yar Hai Aaina Hai Shana Hai

yar hai aaina hai shana hai

chashm-e-bad-dur kya zamana hai

jhankne takne ka waqt gaya

ab wo hum hain na wo zamana hai

wahshat-angez hai nasim-e-bahaar

kya junun-KHez ye zamana hai

saqiya arsh par hai apna dimagh

sar hai aur tera aastana hai

dagh-e-hasrat se dil ho malamal

yahi daulat yahi KHazana hai

mahsharistan-e-arzu-e-visal

dil hai kya ek kar-KHana hai

lo bujha chahta hai dil ka kanwal

KHatm ab ishq ka fasana hai

kya kahin uD ke ja nahin sakte

wo chaman hai wo aashiyana hai

'yas' ab aap mein na aaenge

wasl ek maut ka bahana hai

(888) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yar Hai Aaina Hai Shana Hai In English By Famous Poet Yagana Changezi. Yar Hai Aaina Hai Shana Hai is written by Yagana Changezi. Read famous Poem Yar Hai Aaina Hai Shana Hai for youth and Student by Yagana Changezi. Free Download Yar Hai Aaina Hai Shana Hai in PDF.