Aatish-e-gham Mein Bhabhuka Dida-e-namnak Tha

aatish-e-gham mein bhabhuka dida-e-namnak tha

aansuon mein jo zaban par harf tha bebak tha

chain hi kab lene deta tha kisi ka gham hamein

ye na dekha umr bhar apna bhi daman chaak tha

hum shikasta-dil na bahra-mand duniya se hue

warna is aaludgi se kis ka daman pak tha

jauhar-e-fan mera KHud meri nazar se gir gaya

harf-e-dil par bhi zamana kis qadar saffak tha

raat ki lashon ka kuDa subh-dam phenka gaya

kya hamare daur ka insan KHas-o-KHashak tha

kitna KHush hota tha pahle aasman ye dekh kar

jo tamasha tha jahan mein wo tah-e-aflak tha

mera dushman jab hua raazi to hairani hui

mere aage aur bhi ek ru-e-haibatnak tha

kitni baaten thin hamare zehn ka hissa magar

tajrabe ke baad un ka aur hi idrak tha

KHu-e-insan ko azal se hi ye duniya tang hai

jo waraq tariKH ka dekha wo ibratnak tha

hum jo aa baiThe kabhi to tan mein kanTe hi chubhe

saya-e-gul bhi hamein kitna aziyat-nak tha

jalwa-e-fitrat numayan hai libas-e-rang mein

husn har tahzib mein minnat-kash-e-poshak tha

sar ke niche inT rakh kar umr bhar soya hai tu

aaKHiri bistar bhi 'amir' tera farsh-e-KHak tha

(1075) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aatish-e-gham Mein Bhabhuka Dida-e-namnak Tha In English By Famous Poet Yaqoob Aamir. Aatish-e-gham Mein Bhabhuka Dida-e-namnak Tha is written by Yaqoob Aamir. Read famous Poem Aatish-e-gham Mein Bhabhuka Dida-e-namnak Tha for youth and Student by Yaqoob Aamir. Free Download Aatish-e-gham Mein Bhabhuka Dida-e-namnak Tha in PDF.