Agarche Haal O Hawadis Ki Hukmarani Hai

agarche haal o hawadis ki hukmarani hai

har ek shaKHs ki apni bhi ek kahani hai

main aaj kal ke tasawwur se shad-kaam to hun

ye aur baat ki do pal ki zindagani hai

nishan rah ke dekhe to ye KHayal aaya

mera qadam bhi kisi ke liye nishani hai

KHizan nahin hai ba-juz ek taraddud-e-beja

chaman khilao agar zauq-e-baghbani hai

kabhi na haal hua mera tere hasb-e-mizaj

na samjha tu ki yahi teri bad-gumani hai

na samjhe ashk-fishani ko koi mayusi

hai dil mein aag agar aankh mein bhi pani hai

mila to un ka mila sath hum ko ai 'amir'

na dauDna hai jinhen aur na choT khani hai

(892) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agarche Haal O Hawadis Ki Hukmarani Hai In English By Famous Poet Yaqoob Aamir. Agarche Haal O Hawadis Ki Hukmarani Hai is written by Yaqoob Aamir. Read famous Poem Agarche Haal O Hawadis Ki Hukmarani Hai for youth and Student by Yaqoob Aamir. Free Download Agarche Haal O Hawadis Ki Hukmarani Hai in PDF.