Aap Apna Nishan Nahin Malum

aap apna nishan nahin malum

luT gae hum kahan nahin malum

le chala hai junun-e-shauq kidhar

hogi manzil kahan nahin malum

dauDta hun ghubar ke pichhe

hai kahan karwan nahin malum

jhuk gaya sar-basad KHulus-o-niyaz

kis ka hai aastan nahin malum

ek halchal hai KHana-e-dil mein

kaun hai mehman nahin malum

barq chamki thi ek bar yahan

kya hua aashiyan nahin malum

jaane kis ke KHayal mein 'asi'

ho gae gum kahan nahin malum

(648) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aap Apna Nishan Nahin Malum In English By Famous Poet Yaqoob Ali Aasi. Aap Apna Nishan Nahin Malum is written by Yaqoob Ali Aasi. Read famous Poem Aap Apna Nishan Nahin Malum for youth and Student by Yaqoob Ali Aasi. Free Download Aap Apna Nishan Nahin Malum in PDF.