Main Chahun Bhi To Zabt-e-guftugu Main La Nahin Sakta

main chahun bhi to zabt-e-guftugu main la nahin sakta

samajhne par bhi dil ka muddaa samjha nahin sakta

bhala aisi tahi-daman tamannaon se kya hasil

bahalne par dil aamada hai aur bahla nahin sakta

KHuda mahfuz rakkhe KHauf-e-aseb-e-asiri se

main gulshan mein bhi aazadi ka naghma ga nahin sakta

rag-e-gul se bhi nazuk-tar hain tinke aashiyane ke

inhen gulchin har andaz-e-nawazish bha nahin sakta

bhara jaega kab tak KHun-e-mazi nabz-e-farda mein

ab is pahlu pe nazm-e-qalb-e-geti aa nahin sakta

kise fitna samajh kar apni mahfil se uThata hai

zamir-e-amn is dhoke mein nadan aa nahin sakta

sahab-e-fikr bhi 'yaqub' paband-e-faza nikla

chaman ki KHak par rang-e-suKHan barsa nahin sakta

(1003) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Chahun Bhi To Zabt-e-guftugu Main La Nahin Sakta In English By Famous Poet Yaqoob Usmani. Main Chahun Bhi To Zabt-e-guftugu Main La Nahin Sakta is written by Yaqoob Usmani. Read famous Poem Main Chahun Bhi To Zabt-e-guftugu Main La Nahin Sakta for youth and Student by Yaqoob Usmani. Free Download Main Chahun Bhi To Zabt-e-guftugu Main La Nahin Sakta in PDF.