Wo Kaun Se KHatre Hain Jo Gulshan Mein Nahin Hain

wo kaun se KHatre hain jo gulshan mein nahin hain

hum maut ke munh mein hain nasheman mein nahin hain

ye jashn-e-tarab aur ye be-rangi-e-mahfil

do phul bhi kya waqt ke daman mein nahin hain

chhup chhup ke kise barq-e-hawas DhunDh rahi hai

ginti ke wo KHoshe bhi to KHirman mein nahin hain

imroz ke dikhte hue dil ki main sada hun

diroz ke nauhe mere shewan mein nahin hain

chaak-e-jigar ai dast-e-karam si to raha hai

girhen to kahin rishta-e-sozan mein nahin hain

majbur ab itna bhi asiron ko na samjho

aise bhi hain kuchh tauq jo gardan mein nahin hain

rang-e-nigah-e-shauq bhare kaun chaman mein

tinke bhi to 'yaqub' nasheman mein nahin hain

(871) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Kaun Se KHatre Hain Jo Gulshan Mein Nahin Hain In English By Famous Poet Yaqoob Usmani. Wo Kaun Se KHatre Hain Jo Gulshan Mein Nahin Hain is written by Yaqoob Usmani. Read famous Poem Wo Kaun Se KHatre Hain Jo Gulshan Mein Nahin Hain for youth and Student by Yaqoob Usmani. Free Download Wo Kaun Se KHatre Hain Jo Gulshan Mein Nahin Hain in PDF.