Zaban Kuchh Aur Kahti Hai Nazar Kuchh Aur Kahti Hai

zaban kuchh aur kahti hai nazar kuchh aur kahti hai

ba-zahir ye tawajjoh chaara-gar kuchh aur kahti hai

zamana naghma-pairai ka jab aaega aaega

abhi to shiddat-e-soz-e-jigar kuchh aur kahti hai

bhala aap aur iKHfa-e-haqiqat ai maaz-allah

zaban-e-KHalq jhuTi hai agar kuchh aur kahti hai

koi kis tarah dhoka khae is aatish-bayani ka

udasi teri ai sham-e-sahar kuchh aur kahti hai

isi tashKHis par itra raha tha ek muddat se

masiha dekh nabz-e-bahr-o-bar kuchh aur kahti hai

teri azmat ka munkir tha na hun ai rahbar-e-kaamil

ab is ko kya karun main rahguzar kuchh aur kahti hai

bharam 'yaqub' khulne hi ko hai ab aasmanon ka

zamin se gardish-e-shams-o-qamar kuchh aur kahti hai

(1071) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zaban Kuchh Aur Kahti Hai Nazar Kuchh Aur Kahti Hai In English By Famous Poet Yaqoob Usmani. Zaban Kuchh Aur Kahti Hai Nazar Kuchh Aur Kahti Hai is written by Yaqoob Usmani. Read famous Poem Zaban Kuchh Aur Kahti Hai Nazar Kuchh Aur Kahti Hai for youth and Student by Yaqoob Usmani. Free Download Zaban Kuchh Aur Kahti Hai Nazar Kuchh Aur Kahti Hai in PDF.