Aisa Bhi Nahin Dard Ne Wahshat Nahin Ki Hai

aisa bhi nahin dard ne wahshat nahin ki hai

is gham ki kabhi hum ne ishaat nahin ki hai

jab wasl hua us se to sarshaar hue hain

aur hijr ke mausam ne riayat nahin ki hai

jo tu ne diya us mein izafa hi hua hai

is dard ki daulat mein KHayanat nahin ki hai

hum ne bhi abhi khol ke rakkha nahin dil ko

tu ne bhi kabhi khul ke wazahat nahin ki hai

is shahr-e-badan ke bhi ajab hote hain manzar

lagta hai abhi tum ne siyahat nahin ki hai

is arz-e-tamanna mein kise chain mila hai

dil ne magar is KHauf se hijrat nahin ki hai

ye dil ke ujaDne ki alamat na ho koi

milne pe ghaDi-bhar ko bhi hairat nahin ki hai

(1019) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisa Bhi Nahin Dard Ne Wahshat Nahin Ki Hai In English By Famous Poet Yashab Tamanna. Aisa Bhi Nahin Dard Ne Wahshat Nahin Ki Hai is written by Yashab Tamanna. Read famous Poem Aisa Bhi Nahin Dard Ne Wahshat Nahin Ki Hai for youth and Student by Yashab Tamanna. Free Download Aisa Bhi Nahin Dard Ne Wahshat Nahin Ki Hai in PDF.