Ajab Bhul O Hairat Jo MaKHluq Ko Hai

ajab bhul o hairat jo maKHluq ko hai

KHuda ki talab shirk ki justuju hai

sharab-e-mohabbat mein maKHmur hun main

piyala bhara hai mulabbab subu hai

pata ek ka do mein kyun kar milega

jo kasrat fana ho to KHud tu hi tu hai

nahin ghair koi tashaKHKHus ka parda

man-o-tu faqat ghair ki guftugu hai

hai KHud aap maujud har yak sifat se

judai nahin is mein kuchh mu-ba-mu hai

sifat bast-o-qabiz ki tuKHm-o-shajar hai

jo bu hai so gul hai jo gul hai so bu hai

wo pir-e-tariqat hai kaamil usi ko

KHuda is ke har aan mein ru-ba-ru hai

wajud ek hai surat us ki mughayyar

hai jalwa usi ka na main aur tu hai

tu 'markaz' hai aalam mein paida-o-zahir

banaya banata hai jo kuchh ki tu hai

(860) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab Bhul O Hairat Jo MaKHluq Ko Hai In English By Famous Poet Yasin Ali Khan Markaz. Ajab Bhul O Hairat Jo MaKHluq Ko Hai is written by Yasin Ali Khan Markaz. Read famous Poem Ajab Bhul O Hairat Jo MaKHluq Ko Hai for youth and Student by Yasin Ali Khan Markaz. Free Download Ajab Bhul O Hairat Jo MaKHluq Ko Hai in PDF.