Apna Pata Mujhe Bata Bahr-e-KHuda Tu Kaun Hai

apna pata mujhe bata bahr-e-KHuda tu kaun hai

tujh pe hain sare mubtala bahr-e-KHuda tu kaun hai

nam-e-KHuda suna kiya tere siwa nahin mila

sari sifat se hai bhara bahr-e-KHuda tu kaun hai

tera hasad to nam tha ho gaya banda kis tarah

teri hi zat hai baqa bahr-e-KHuda tu kaun hai

tere se hast kul hui thi tu adam mein be-nishan

hadi muzil hai barmala bahr-e-KHuda tu kaun hai

malik-e-do-jahan hai tu chahe jise ata kare

kar de gada ko baadsha bahr-e-KHuda tu kaun hai

tere karam se ai shaha main ne KHuda-numa hua

tha tu fana baqa mila bahr-e-KHuda tu kaun hai

'markaz'-e-jumla-kaenat mazhar-e-zat-e-kibriya

tere siwa nahin hua bahr-e-KHuda tu kaun hai

(1030) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apna Pata Mujhe Bata Bahr-e-KHuda Tu Kaun Hai In English By Famous Poet Yasin Ali Khan Markaz. Apna Pata Mujhe Bata Bahr-e-KHuda Tu Kaun Hai is written by Yasin Ali Khan Markaz. Read famous Poem Apna Pata Mujhe Bata Bahr-e-KHuda Tu Kaun Hai for youth and Student by Yasin Ali Khan Markaz. Free Download Apna Pata Mujhe Bata Bahr-e-KHuda Tu Kaun Hai in PDF.