Ayan Ho Aap Begana Banaya

ayan ho aap begana banaya

wajud-e-KHak ka shana banaya

tu hai alfaz se mahir ai waiz

mujhe be-kaif-o-kam-mana banaya

kiya izhaar jab main raaz-e-haq ko

to aalam mujh ko rindana banaya

hansi se meri is ne Tal di baat

main tha hoshiyar diwana banaya

mujhe saqi ne be-minnat ke di mai

KHumar-e-ishq-e-mardana banaya

pukara ishq ne ja DhunDh le yar

tan-e-KHaki ko hai KHana banaya

uDaya baat mein jo KHud-parasti

mujhe mul de ke mastana banaya

main jaana aap ko har haal mazhar

ba-zahir banda farzana banaya

ai 'markaz' tujh se hai sab shan zahir

ajab aaina shahana banaya

(875) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ayan Ho Aap Begana Banaya In English By Famous Poet Yasin Ali Khan Markaz. Ayan Ho Aap Begana Banaya is written by Yasin Ali Khan Markaz. Read famous Poem Ayan Ho Aap Begana Banaya for youth and Student by Yasin Ali Khan Markaz. Free Download Ayan Ho Aap Begana Banaya in PDF.