Jo Nazar Kiya Main Sifat Mein Hua Mujh Pe Kab Ye Ayan Nahin

jo nazar kiya main sifat mein hua mujh pe kab ye ayan nahin

meri zat ain ki ain hai wahan dusri ka nishan nahin

wahi do jahan mein hai muftaKHar jaise ainiyat ki hui KHabar

wahi hukmaran hai jahan mein wahan kufr-o-din ka guman nahin

rahe ghairiyat ke hijab mein jo KHuda-numa se nahin mile

jo KHuda ko un se talab kiye rahi baat un pe nihan nahin

jise ho subut wajud ka wahi haq-shanas hai ba-KHabar

unhen jumla aawe KHuda nazar wo KHuda ko dekhe kahan nahin

main watan mein aap safar kiya jo qadam ko apni nazar kiya

mila apna aap pata mujhe jahan ghairiyat ka bayan nahin

main to ek 'markaz'-e-dahr hun jo KHuda-numa ke nishan se

jo bataun haq ka pata jise rahe baqi us ko guman nahin

(922) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Nazar Kiya Main Sifat Mein Hua Mujh Pe Kab Ye Ayan Nahin In English By Famous Poet Yasin Ali Khan Markaz. Jo Nazar Kiya Main Sifat Mein Hua Mujh Pe Kab Ye Ayan Nahin is written by Yasin Ali Khan Markaz. Read famous Poem Jo Nazar Kiya Main Sifat Mein Hua Mujh Pe Kab Ye Ayan Nahin for youth and Student by Yasin Ali Khan Markaz. Free Download Jo Nazar Kiya Main Sifat Mein Hua Mujh Pe Kab Ye Ayan Nahin in PDF.