Shirk Ka Parda UThaya Yar Ne

shirk ka parda uThaya yar ne

hum ko jab apna banaya yar ne

roz-e-raushan ki tarah dekha use

garche munh apna chhupaya yar ne

zahiran maujud hai har shan se

har tarah ruKH ko dikhaya yar ne

KHwesh-o-begana faqat kahne ko hai

apna diwana banaya yar ne

banda bin jaana faqat chhupne ko hai

ghar ko virana banaya yar ne

pher gardun se hai surat har tarah

jism ka shana banaya yar ne

tu wo 'markaz' hai KHudai ka zuhur

KHatt-e-fasil ko banaya yar ne

(867) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shirk Ka Parda UThaya Yar Ne In English By Famous Poet Yasin Ali Khan Markaz. Shirk Ka Parda UThaya Yar Ne is written by Yasin Ali Khan Markaz. Read famous Poem Shirk Ka Parda UThaya Yar Ne for youth and Student by Yasin Ali Khan Markaz. Free Download Shirk Ka Parda UThaya Yar Ne in PDF.