Yaad-e-KHuda Se Aaya Na Iman Kisi Tarah

yaad-e-KHuda se aaya na iman kisi tarah

kafir bane na hum na musalman kisi tarah

karte ho wada aane ka hai aankh muntazar

kab tak guzare din ye hai mehman kisi tarah

aazad ishq-e-yar ne hum ko bana diya

mal-o-mata' ka hun na main KHwahan kisi tarah

pite raho sharab jahan tak ki ho sake

shaghil na chhuTe saqi ka daman kisi tarah

aa jawen gar nasib se aalam hai naza ka

nikle hamare dil ke bhi arman kisi tarah

mar jaun un ke tir-e-nigah se najat ho

gardan pe mere un ka ho ehsan kisi tarah

zindan hain phans gaya dil-e-muztar nigah ke

baiThe hain pasban bane mizhgan kisi tarah

baad-e-fana bhi qabr ko mismar kar diya

izhaar-e-ranj ka na ho saman kisi tarah

adwar mein agarche hai 'markaz' ghira hua

chhoDe na tujh ko rahmat subhan kisi tarah

(877) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaad-e-KHuda Se Aaya Na Iman Kisi Tarah In English By Famous Poet Yasin Ali Khan Markaz. Yaad-e-KHuda Se Aaya Na Iman Kisi Tarah is written by Yasin Ali Khan Markaz. Read famous Poem Yaad-e-KHuda Se Aaya Na Iman Kisi Tarah for youth and Student by Yasin Ali Khan Markaz. Free Download Yaad-e-KHuda Se Aaya Na Iman Kisi Tarah in PDF.