Aate Rahte Hain Falak Se Bhi Ishaare Kuchh Na Kuchh

aate rahte hain falak se bhi ishaare kuchh na kuchh

baat kar lete hain hum se chand tare kuchh na kuchh

ek kafir ki masihai ke dast-e-faiz se

mil rahe hain zaKHm ke donon kinare kuchh na kuchh

rang har dimak-zada taswir mein bharte rahe

ek tasalli ke liye hijran ke mare kuchh na kuchh

ek purana KHat kai phulon ki sukhi pattiyan

is bayaz-e-zindagi mein hain sahaare kuchh na kuchh

hai wahi qamat wahi manus se naqsh-o-nigar

aisa lagta hai kabhi wo the hamare kuchh na kuchh

waqt ke be-rahm sannaTon mein bahti zindagi

hai sada ki muntazir koi pukare kuchh na kuchh

(904) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aate Rahte Hain Falak Se Bhi Ishaare Kuchh Na Kuchh In English By Famous Poet Yasmeen Habeeb. Aate Rahte Hain Falak Se Bhi Ishaare Kuchh Na Kuchh is written by Yasmeen Habeeb. Read famous Poem Aate Rahte Hain Falak Se Bhi Ishaare Kuchh Na Kuchh for youth and Student by Yasmeen Habeeb. Free Download Aate Rahte Hain Falak Se Bhi Ishaare Kuchh Na Kuchh in PDF.