Abhi Guzre Dinon Ki Kuchh Sadaen Shor Karti Hain

abhi guzre dinon ki kuchh sadaen shor karti hain

dariche band rahne do, hawaen shor karti hain

yahi to fikr ke jalte paron pe taziyana hai

ki har tarik kamre mein duaen shor karti hain

kaha na tha hisar-e-ism-e-azam khinchne wale

yahan aaseb rahte hain balaen shor karti hain

hamein bhi tajraba hai be-ghari ka chhat na hone ka

darinde, bijliyan, kali ghaTaen shor karti hain

abhi gard-e-safar ke girye ki hai gunj kanon mein

abhi kyun muntazir KHali saraen shor karti hain

hamein sairab rakkha hai KHuda ka shukr hai us ne

jahan banjar zaminen hon anaen shor karti hain

(1064) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Guzre Dinon Ki Kuchh Sadaen Shor Karti Hain In English By Famous Poet Yasmeen Habeeb. Abhi Guzre Dinon Ki Kuchh Sadaen Shor Karti Hain is written by Yasmeen Habeeb. Read famous Poem Abhi Guzre Dinon Ki Kuchh Sadaen Shor Karti Hain for youth and Student by Yasmeen Habeeb. Free Download Abhi Guzre Dinon Ki Kuchh Sadaen Shor Karti Hain in PDF.