Mujhko Utar Harf Mein Jaan-e-ghazal Bana Mujhe

mujh ko utar harf mein jaan-e-ghazal bana mujhe

meri hi baat mujh se kar mera kaha suna mujhe

raKHsh-e-abad-KHiram ki thamti nahin hain bijliyan

subh-e-azal-nizhad se karna hai mashwara mujhe

lauh-e-jahan se peshtar likkha tha kya nasib mein

kaisi thi meri zindagi kuchh to chale pata mujhe

kaise hon KHwab aankh mein kaisa KHayal dil mein ho

KHud hi har ek baat ka karna tha faisla mujhe

chhoTe se ek sawal mein din hi guzar gaya mera

tu hai ki ab nahin hai tu bas ye zara bata mujhe

kaise guzarna hai mujhe us pul-siraat-e-waqt se

waise to de gae sabhi jate hue dua mujhe

mera safar mera hi tha uThte kisi ke kya qadam

apne liye tha khojna apna hi naqsh-e-pa mujhe

lagta hai chal rahi hun main ruh-e-tamam ki taraf

jaisi thi ibtida mujhe waisi hai intiha mujhe

(1095) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko Utar Harf Mein Jaan-e-ghazal Bana Mujhe In English By Famous Poet Yasmeen Habeeb. Mujhko Utar Harf Mein Jaan-e-ghazal Bana Mujhe is written by Yasmeen Habeeb. Read famous Poem Mujhko Utar Harf Mein Jaan-e-ghazal Bana Mujhe for youth and Student by Yasmeen Habeeb. Free Download Mujhko Utar Harf Mein Jaan-e-ghazal Bana Mujhe in PDF.