Waqt Bas Rengta Hai Umr Ke Sath

waqt bas rengta hai umr ke sath

tara tara gina hai umr ke sath

kitna aasan sa talluq tha

kitna mushkil hua hai umr ke sath

phir safar nam hai aziyyat ka

rasta hanpta hai umr ke sath

kis ki aankhon ko nind chubhti hai

kaun jaga raha hai umr ke sath

jaane aaram aaega kab tak

dard baDhne laga hai umr ke sath

ek gunah tha chhupae rakkha tha

samne aa gaya hai umr ke sath

zindagi zindagi nahin lagti

koi dhoka hua hai umr ke sath

subh-e-kazib se sham-e-sadiq tak

ek mahshar bapa hai umr ke sath

kaisa chehra hai raat ki tafsil

kaun jal kar bujha hai umr ke sath

gard-e-mazi hai wasl ka hasil

qafila hijr ka hai umr ke sath

(1119) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Bas Rengta Hai Umr Ke Sath In English By Famous Poet Yasmeen Habeeb. Waqt Bas Rengta Hai Umr Ke Sath is written by Yasmeen Habeeb. Read famous Poem Waqt Bas Rengta Hai Umr Ke Sath for youth and Student by Yasmeen Habeeb. Free Download Waqt Bas Rengta Hai Umr Ke Sath in PDF.