Ye Kamra Aur Ye Gard-o-ghubar Us Ka Hai

ye kamra aur ye gard-o-ghubar us ka hai

wo jis ne aana nahin intizar us ka hai

ruki hun zaKHm ke raqbe mein apni marzi se

ye jaanti hun ki qurb-o-jawar us ka hai

kisi KHasare ke saude mein hath aaya tha

so ek qimti shai mein shumar us ka hai

faqat firaq to itna nasha nahin rakhta

main laDkhaDai hun jis se KHumar us ka hai

KHarid sakti thi so main KHarid lai hun

wo mere pas hai chahe hazar us ka hai

darida-jaan hun darida-libasiyan bhi hain

magar ye kam to nahin tar tar us ka hai

main saint saint ke kitna sameT kar rakhkhun

ki kaenat bhara intishaar us ka hai

na jaane bolti rahti hun nind mein kya kya

jo nam sunti hun main bar bar us ka hai

main ghar se jaun to tala laga ke jati hun

kuchh us ki shohraten kuchh e'tibar us ka hai

(955) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kamra Aur Ye Gard-o-ghubar Us Ka Hai In English By Famous Poet Yasmeen Habeeb. Ye Kamra Aur Ye Gard-o-ghubar Us Ka Hai is written by Yasmeen Habeeb. Read famous Poem Ye Kamra Aur Ye Gard-o-ghubar Us Ka Hai for youth and Student by Yasmeen Habeeb. Free Download Ye Kamra Aur Ye Gard-o-ghubar Us Ka Hai in PDF.