Parda Aankhon Se HaTane Mein Bahut Der Lagi

parda aankhon se haTane mein bahut der lagi

hamein duniya nazar aane mein bahut der lagi

nazar aata hai jo waisa nahin hota koi shaKHs

KHud ko ye baat batane mein bahut der lagi

ek diwar uThai thi baDi ujlat mein

wahi diwar girane mein bahut der lagi

aag hi aag thi aur log bahut chaaron taraf

apna to dhyan hi aane mein bahut der lagi

jis tarah hum kabhi hona hi nahin chahte the

KHud ko phir waisa banane mein bahut der lagi

ye hua tu ki har ek shai ki kashish mand paDi

magar is moD pe aane mein bahut der lagi

(1848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parda Aankhon Se HaTane Mein Bahut Der Lagi In English By Famous Poet Yasmeen Hamid. Parda Aankhon Se HaTane Mein Bahut Der Lagi is written by Yasmeen Hamid. Read famous Poem Parda Aankhon Se HaTane Mein Bahut Der Lagi for youth and Student by Yasmeen Hamid. Free Download Parda Aankhon Se HaTane Mein Bahut Der Lagi in PDF.