Mujhe Aagahi Ka Nishan Samajh Ke MiTao Mat

mujhe aagahi ka nishan samajh ke miTao mat

ye charagh jalne laga hai is ko bujhao mat

mujhe jagna hai tamam umr isi tarah

mujhe subh-o-sham ke silsile mein milao mat

mujhe ilm hai mere KHal-o-KHad mein kami hai kya

mujhe aaine ka tilism koi dikhao mat

main KHulus-e-dil ki bulandiyon ke safar pe hun

mujhe dastan-e-fareb koi sunao mat

mujhe dekh lene do subh-e-farda ki raushni

meri aankh se abhi hath apna haTao mat

wahi peD hai wahi shaKH hai wahi nam hai

jo gira hai phul yahan se us ko uThao mat

mujhe tah mein ja ke uchhaalne hain guhar kai

main hun mutmain mujhe Dubne se bachao mat

tumhein be-maqam rafaqaton ki talash hai

mera shahr shahr-e-sabaat hai yahan aao mat

(1039) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Aagahi Ka Nishan Samajh Ke MiTao Mat In English By Famous Poet Yasmeen Hamid. Mujhe Aagahi Ka Nishan Samajh Ke MiTao Mat is written by Yasmeen Hamid. Read famous Poem Mujhe Aagahi Ka Nishan Samajh Ke MiTao Mat for youth and Student by Yasmeen Hamid. Free Download Mujhe Aagahi Ka Nishan Samajh Ke MiTao Mat in PDF.