Sahne Ko To Sah Jaen Gham-e-kaun-o-makan Tak

sahne ko to sah jaen gham-e-kaun-o-makan tak

ai KHaliq-e-har-dard magar phir bhi kahan tak

pahunche na kahin dida-e-KHun-naba-fashan tak

wo harf-e-shikayat nahin aaya jo zaban tak

ye meri nigahon ke banae hue manzar

kambaKHt wahin tak hain nazar jae jahan tak

ek rasm-e-wafa thi wo zamane ne uTha di

ek zahmat-e-be-kar thi uThti bhi kahan tak

tum muatamid-e-raaz the kis tarah se pahunchi

hairat hai meri baat zamane ki zaban tak

chhuTe jo qafas se to wahi qaid-e-chaman thi

aazad yahan tak the giraftar yahan tak

taswir-e-ruKH-e-yar khinchi jati hai 'yawar'

milti hai fareb-e-gham-e-dauran se kahan tak

(898) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahne Ko To Sah Jaen Gham-e-kaun-o-makan Tak In English By Famous Poet Yawar Abbas. Sahne Ko To Sah Jaen Gham-e-kaun-o-makan Tak is written by Yawar Abbas. Read famous Poem Sahne Ko To Sah Jaen Gham-e-kaun-o-makan Tak for youth and Student by Yawar Abbas. Free Download Sahne Ko To Sah Jaen Gham-e-kaun-o-makan Tak in PDF.