Kuchh Log Jo NaKHwat Se Mujhe Ghur Rahe Hain

kuchh log jo naKHwat se mujhe ghur rahe hain

mahaul se shayad ye bahut dur rahe hain

kya kahiye ki kya ho gaya is shahr ka aalam

jis shahr mein ulfat ke bhi dastur rahe hain

majbur kise kahte hain ye kaun batae

puchhe koi un se ki jo majbur rahe hain

kuchh log sar-e-dar rahe hon to rahe hon

hum hain ki bahar-taur sar-e-tur rahe hain

hanste hue chehron pe na ja sinon mein un ke

haalat ke Takraw se nasur rahe hain

ai shaiKH ghanimat hai agar hum ko samajh lo

hum mansab-e-tasdiq pe mamur rahe hain

ek tum ki KHudai ke bhi dawe rahe tum ko

ek hum ki is iqrar se mazur rahe hain

sukkan-e-haram kya hain ye mujh se koi puchhe

allah ke ghar mein bhi ye maghrur rahe hain

ehsan baDa bojh hai is KHauf se 'yawar'

diwar ke sae se bhi hum dur rahe hain

(727) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Log Jo NaKHwat Se Mujhe Ghur Rahe Hain In English By Famous Poet Yawar Abbas. Kuchh Log Jo NaKHwat Se Mujhe Ghur Rahe Hain is written by Yawar Abbas. Read famous Poem Kuchh Log Jo NaKHwat Se Mujhe Ghur Rahe Hain for youth and Student by Yawar Abbas. Free Download Kuchh Log Jo NaKHwat Se Mujhe Ghur Rahe Hain in PDF.