Jalwa Afroz Hai Kabe Ke Ujalon Ki Tarah

jalwa afroz hai kabe ke ujalon ki tarah

dil ki tamir ki kal tak thi shiwalon ki tarah

aql-e-warafta ke be-nur bayabanon mein

hum bhaTakte rahe aawara KHayalon ki tarah

hum ki is bazm mein hain saya-e-gham ki surat

kaun dekhega hamein zohra-jamalon ki tarah

hath baDhta nahin rindon ka hamari jaanib

hum KHarabaat mein hain KHali pyalon ki tarah

jab koi KHar-e-sitam dil mein utar aata hai

phuT kar rota hai dil panw ke chhaalon ki tarah

jab bhi paDhta hun kitab-e-gham-e-hasti ai dil

tazkira un ka bhi milta hai hawalon ki tarah

soz-o-ehsas ki taswir hai qalb-e-shaer

naghme taKHliq hua karte hain nalon ki tarah

arsa-e-dahr mein ki hum ne basar 'yazdani'

zulmat-e-shab ki tarah din ke ujalon ki tarah

(869) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jalwa Afroz Hai Kabe Ke Ujalon Ki Tarah In English By Famous Poet Yazdani Jalandhari. Jalwa Afroz Hai Kabe Ke Ujalon Ki Tarah is written by Yazdani Jalandhari. Read famous Poem Jalwa Afroz Hai Kabe Ke Ujalon Ki Tarah for youth and Student by Yazdani Jalandhari. Free Download Jalwa Afroz Hai Kabe Ke Ujalon Ki Tarah in PDF.