Labon Tak Aaya Zaban Se Magar Kaha Na Gaya

labon tak aaya zaban se magar kaha na gaya

fasana dard ka al-muKHtasar kaha na gaya

harim-e-naz mein kya baat thi jo raaz rahi

wo harf kya tha jo bar-e-digar kaha na gaya

ye hadsa bhi ajab hai ki tere gham ke siwa

kisi bhi gham ko gham-e-mo'tabar kaha na gaya

nafas nafas mein tha ehsas-e-KHana-virani

KHaraba-e-gham-e-hasti ko ghar kaha na gaya

talash karta hun ima-e-iltifat abhi

wo kya nazar thi ki jis ko nazar kaha na gaya

junun ne fikr-o-nazar ko wo rifaten baKHshin

KHirad ko hum se kabhi dida-war kaha na gaya

na koi shor na ghaugha na haw-hu na KHarosh

KHizan ko mausam-e-derina-gar kaha na gaya

dil iztirab-e-guzarish ka mahsharistan tha

kisi ke samne kuchh bhi magar kaha na gaya

(990) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Labon Tak Aaya Zaban Se Magar Kaha Na Gaya In English By Famous Poet Yazdani Jalandhari. Labon Tak Aaya Zaban Se Magar Kaha Na Gaya is written by Yazdani Jalandhari. Read famous Poem Labon Tak Aaya Zaban Se Magar Kaha Na Gaya for youth and Student by Yazdani Jalandhari. Free Download Labon Tak Aaya Zaban Se Magar Kaha Na Gaya in PDF.