Nigah-e-naz Ka Hasil Hai Etibar Mujhe

nigah-e-naz ka hasil hai e'tibar mujhe

hawa-e-shauq zara aur bhi nikhaar mujhe

kabhi zaban na khuli arz-e-muddaa ke liye

kiya hai pas-e-adab ne bhi sharmsar mujhe

purane zaKHm nae dagh sath sath rahe

mili to kaisi mili dawat-e-bahaar mujhe

phir ahl-e-hosh ke narghe mein aa gaya hun main

KHuda ke waste ek bar phir pukar mujhe

bikhar rahi hai mohabbat ki raushni har su

uDa raha hai koi surat-e-ghubar mujhe

na jaane kaun sa hai shoabada taaqub mein

ki aaj us ne kaha hai wafa shiar mujhe

jo aap aaen to ye faisla bhi ho jae

dikhai deta hai mausam to KHush-gawar mujhe

hazar bar sukun-e-hayat ki had mein

hazar bar kiya dil ne be-qarar mujhe

mere shabab meri zindagi mere mazi

zaban-e-haal se ek bar phir pukar mujhe

wo baat jis pe madar-e-wafa hai 'yazdani'

wo baat kahna paDegi huzur-e-yar mujhe

(1019) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah-e-naz Ka Hasil Hai Etibar Mujhe In English By Famous Poet Yazdani Jalandhari. Nigah-e-naz Ka Hasil Hai Etibar Mujhe is written by Yazdani Jalandhari. Read famous Poem Nigah-e-naz Ka Hasil Hai Etibar Mujhe for youth and Student by Yazdani Jalandhari. Free Download Nigah-e-naz Ka Hasil Hai Etibar Mujhe in PDF.