Tanhai Mein Aksar Yahi Mahsus Hua Hai

tanhai mein aksar yahi mahsus hua hai

jis tarah koi meri taraf dekh raha hai

DhunDa koi sathi jo kabhi dasht-e-wafa mein

ek apna hi saya mujhe har bar mila hai

sine mein hai mahfuz mata-e-gham-e-dauran

dibacha-e-ayyam mere dil pe likha hai

aahaT si shab-e-gham jo tujhe di hai sunai

ai dil wo tere apne dhaDakne ki sada hai

ho KHair charaghan-e-sar-e-rahguzar ki

sunte hain bahut tez zamane ki hawa hai

yak-rang kahan hoti hai insan ki fitrat

har phul ki KHushbu hai alag rang juda hai

maghrur na ho husn pe a sham-e-farozan

parwane ki aankhon mein koi aur ziya hai

nind aati hai yazdani-e-muztar ko sakun se

ye maut hai ya dost ke daman ki hawa hai

(1035) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tanhai Mein Aksar Yahi Mahsus Hua Hai In English By Famous Poet Yazdani Jalandhari. Tanhai Mein Aksar Yahi Mahsus Hua Hai is written by Yazdani Jalandhari. Read famous Poem Tanhai Mein Aksar Yahi Mahsus Hua Hai for youth and Student by Yazdani Jalandhari. Free Download Tanhai Mein Aksar Yahi Mahsus Hua Hai in PDF.