Suraj Ke Sath Sath Ubhaare Gae Hain Hum

suraj ke sath sath ubhaare gae hain hum

tarikiyon mein phir bhi utare gae hain hum

ras aa saki na hum ko hawa tere shahr ki

yun to qadam qadam pe sanware gae hain hum

kuchh qahqahon ke abr-e-rawan ne diya nikhaar

kuchh gham ki dhup se bhi nikhaare gae hain hum

sahil se rabta hain nahin TuTta kabhi

kaise samundaron mein utare gae hain hum

TuTa na rah-e-shauq mein afsun-e-tirgi

le kar jilau mein chand sitare gae hain hum

jaana muhaal tha teri mahfil ko chhoD kar

pa kar teri nazar ke ishaare gae hain hum

is tera KHak-dan mein koi puchhta nahin

kahne ko aasman se utare gae hain hum

sau bar bar-e-gham ne pareshan kiya hamein

sau bar misl-e-zulf sanware gae hain hum

is silsile mein maut to badnam hai yunhi

is zindagi ke hathon hi mare gae hain hum

gardab-e-gham mein Dub ke ubhre hain barha

kis ne kaha kinare kinare gae hain hum

'yazdani'-e-hazin hamein kuchh bhi KHabar nahin

us aastan pe kis ke sahaare gae hain hum

(972) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Suraj Ke Sath Sath Ubhaare Gae Hain Hum In English By Famous Poet Yazdani Jalandhari. Suraj Ke Sath Sath Ubhaare Gae Hain Hum is written by Yazdani Jalandhari. Read famous Poem Suraj Ke Sath Sath Ubhaare Gae Hain Hum for youth and Student by Yazdani Jalandhari. Free Download Suraj Ke Sath Sath Ubhaare Gae Hain Hum in PDF.