Bataun Main Tumhein Aankhon Mein Aansu Ya Lahu Kya Hai

bataun main tumhein aankhon mein aansu ya lahu kya hai

kabhi ai kash tum puchho ki meri aarzu kya hai

main teri aahaTen pata hun kaliyon ke chaTakne mein

gulistan mein ba-juz jalwon ke tere rang-o-bu kya hai

usi ko dard kahta hai usi ko dard ka darman

nahin ye ishq to ai dil bata phir justuju kya hai

safai pesh karte ho jo apni tauba-shikani ki

batao phir tumhaare hath mein jam-o-subu kya hai

dar-e-kaba ho pa-e-naz ho sar rakh diya hum ne

kahan ye shauq-e-sajda dekhta hai ru-ba-ru kya hai

mujhe bhi aaKHirash taslim to ek rose karna hai

agar kuchh bhi nahin hun main to phir ye tu hi tu kya hai

zamane mein to 'ghazi' nam hai mashhur ek be-shak

magar KHud ki nazar mein puchhiye ki aabru kya hai

(1039) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bataun Main Tumhein Aankhon Mein Aansu Ya Lahu Kya Hai In English By Famous Poet Yunus Ghazi. Bataun Main Tumhein Aankhon Mein Aansu Ya Lahu Kya Hai is written by Yunus Ghazi. Read famous Poem Bataun Main Tumhein Aankhon Mein Aansu Ya Lahu Kya Hai for youth and Student by Yunus Ghazi. Free Download Bataun Main Tumhein Aankhon Mein Aansu Ya Lahu Kya Hai in PDF.