Chup Rahun Kaise Main Barbaad-e-jahan Hone Tak

chup rahun kaise main barbaad-e-jahan hone tak

raaz ko raaz hi rakhna hai baiyyan hone tak

kya KHabar thi teri mahfil mein ye haalat hogi

tu uTha dega mujhe dard ayan hone tak

KHush-nasibi ye meri hai ki wo ghar aae hain

shama tu sath nibha waqt-e-azan hone tak

koi KHamosh sada dur bulati hai mujhe

kash main zinda rahun dard bayan hone tak

ek shoala hai mohabbat use shabnam na kaho

zinda rahti hai ye bad-baKHt dhuan hone tak

tum bhi 'ghazi' kabhi fursat mein ye socho to sahi

kyun taDapte ho har ek shab ke jawan hone tak

(1038) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chup Rahun Kaise Main Barbaad-e-jahan Hone Tak In English By Famous Poet Yunus Ghazi. Chup Rahun Kaise Main Barbaad-e-jahan Hone Tak is written by Yunus Ghazi. Read famous Poem Chup Rahun Kaise Main Barbaad-e-jahan Hone Tak for youth and Student by Yunus Ghazi. Free Download Chup Rahun Kaise Main Barbaad-e-jahan Hone Tak in PDF.