Kahiye Kin Lafzon Mein Ashkon Ki Kahani Likkhun

kahiye kin lafzon mein ashkon ki kahani likkhun

mo'tariz aap lahu par hain to pani likkhun

un ko apna sa lage aur ho qissa mera

dil ki KHwahish hai ki ek aisi kahani likkhun

dagh jitne bhi hain gulzar-e-tamanna mein mere

phul ki tarah unhen teri nishani likkhun

lakh afsane tarashe hain nae duniya ne

main to jab jab bhi likhun baat purani likhun

mere KHame ko ye taufiq ata kar yarab

KHun ko KHun likhun pani ko pani likkhun

ishq hai zist ki rag rag mein lahu ki manind

jawedan ishq ko kis tarah main fani likkhun

han main 'ghazi' hun mere fan ka taqaza hai yahi

KHun roe jo paDhe wo bhi kahani likkhun

(924) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahiye Kin Lafzon Mein Ashkon Ki Kahani Likkhun In English By Famous Poet Yunus Ghazi. Kahiye Kin Lafzon Mein Ashkon Ki Kahani Likkhun is written by Yunus Ghazi. Read famous Poem Kahiye Kin Lafzon Mein Ashkon Ki Kahani Likkhun for youth and Student by Yunus Ghazi. Free Download Kahiye Kin Lafzon Mein Ashkon Ki Kahani Likkhun in PDF.