KHun-e-tamanna Rang Laya Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai

KHun-e-tamanna rang laya ho aisa bhi ho sakta hai

tanhai mein wo roya ho aisa bhi ho sakta hai

sab ke chehre par chehra tha main kis ko apna kahta

koi mujhe bhi DhunD raha ho aisa bhi ho sakta hai

jis ne mera ghar luTne mein choron ki aguwai ki

wo mera hi ham-saya ho aisa bhi ho sakta hai

mahfil hai angusht-ba-dandan ahl-e-nazar par riqqat tari

sher karishma kar hi gaya ho aisa bhi ho sakta hai

bhiD mein us ko main ne dekha dekh liya tha us ne bhi

ya phir nazron ka dhoka ho aisa bhi ho sakta hai

daulat shohrat aani jaani phir is par itrana kya

pani par ye nam likha ho aisa bhi ho sakta hai

apni kahani jaan ke yaro nahaq aankh bhigote ho

us ka gham bhi tum jaisa ho aisa bhi ho sakta hai

waqt ki dhup kaDi hai 'ghazi' danaon ki basti mein

barf sa chehra sulag raha ho aisa bhi ho sakta hai

(1033) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHun-e-tamanna Rang Laya Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai In English By Famous Poet Yunus Ghazi. KHun-e-tamanna Rang Laya Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai is written by Yunus Ghazi. Read famous Poem KHun-e-tamanna Rang Laya Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai for youth and Student by Yunus Ghazi. Free Download KHun-e-tamanna Rang Laya Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai in PDF.