Kya Sar-e-tahrir Hai Aur Kya Pas-e-tahrir Dekh

kya sar-e-tahrir hai aur kya pas-e-tahrir dekh

yani har ek taKHrib ke parde mein ek taswir dekh

thi har ek taKHrib ke parde mein ek tamir dekh

ghaur se mazi mein apne haal ki taswir dekh

kaun paband-e-wafa hai kaun hai nang-e-wafa

shama ki aaghosh mein parwane ki taqdir dekh

ban gaya hai aaj ki tahzib ka ye aaina

har badi ki nekiyon ke nam se tashhir dekh

dekhna hi hai to tinka dekh apni aankh ka

dusre ki aankh ka ai dost mat shahtir dekh

waqt ki hoti hain 'ghazi' sab karishma-saziyan

munkir-e-taqdir ko bhi mail-e-taqdir dekh

(1153) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Sar-e-tahrir Hai Aur Kya Pas-e-tahrir Dekh In English By Famous Poet Yunus Ghazi. Kya Sar-e-tahrir Hai Aur Kya Pas-e-tahrir Dekh is written by Yunus Ghazi. Read famous Poem Kya Sar-e-tahrir Hai Aur Kya Pas-e-tahrir Dekh for youth and Student by Yunus Ghazi. Free Download Kya Sar-e-tahrir Hai Aur Kya Pas-e-tahrir Dekh in PDF.