Aankh Mein Thahra Hua Sapna Bikhar Bhi Jaega

aankh mein Thahra hua sapna bikhar bhi jaega

raat-bhar mein nind ka nashsha utar bhi jaega

din ki chamkili sadaon se gurezan rah-rau

sham ki sargoshiyan sun kar Thahar bhi jaega

jism-o-jaan mein jalti-bujhti larzishen rah jaengi

wo mere ehsas ko chhukar guzar bhi jaega

be-talluq si karega guftugu mujh se magar

us ka lahja us ki baaton se mukar bhi jaega

wo bhi hoga aahaTon ka muntazir meri tarah

aur faqat jhonka hawa ka us ke ghar bhi jaega

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankh Mein Thahra Hua Sapna Bikhar Bhi Jaega In English By Famous Poet Yusuf Hasan. Aankh Mein Thahra Hua Sapna Bikhar Bhi Jaega is written by Yusuf Hasan. Read famous Poem Aankh Mein Thahra Hua Sapna Bikhar Bhi Jaega for youth and Student by Yusuf Hasan. Free Download Aankh Mein Thahra Hua Sapna Bikhar Bhi Jaega in PDF.