KHwab Aaina Kar Rahi Hai Dil Mein

KHwab aaina kar rahi hai dil mein

jo umr guzar rahi hai dil mein

aahang-e-wajud ban ke har dam

ek mauj-e-digar rahi hai dil mein

har sans dhuan dhuan hai lekin

chandi c nikhar rahi hai dil mein

mahki hui dard ki chameli

kya raushni bhar rahi hai dil mein

basti mein jame rahe andhere

be-tab sahar rahi hai dil mein

rah rah ke visal ki tamanna

kya kya ras bhar rahi hai dil mein

aawara bhi hum hue to 'yusuf'

ek samt-e-safar rahi hai dil mein

(873) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Aaina Kar Rahi Hai Dil Mein In English By Famous Poet Yusuf Hasan. KHwab Aaina Kar Rahi Hai Dil Mein is written by Yusuf Hasan. Read famous Poem KHwab Aaina Kar Rahi Hai Dil Mein for youth and Student by Yusuf Hasan. Free Download KHwab Aaina Kar Rahi Hai Dil Mein in PDF.