Kore Kaghaz Ki Tarah Be-nur Babon Mein Raha

kore kaghaz ki tarah be-nur babon mein raha

tirgi ka hashiya ban kar kitabon mein raha

main aziyyat-nak lamhon ke itabon mein raha

dard ka qaidi bana KHana KHarabon mein raha

jis qadar di jism ko maqruz sanson ki zakat

kya bataun jism utna hi azabon mein raha

be-sifat sahra hun kyun sahra-nawardon ne kaha

har qadam par jab ki main andhe sarabon mein raha

waqt ki mahrumiyon ne chhin li meri zaban

warna ek muddat talak main la-jawabon mein raha

DhunDte ho kyun jali tahrir ke asbaq mein

main to kohre ki tarah dhundle nisabon mein raha

(858) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kore Kaghaz Ki Tarah Be-nur Babon Mein Raha In English By Famous Poet Yusuf Jamal. Kore Kaghaz Ki Tarah Be-nur Babon Mein Raha is written by Yusuf Jamal. Read famous Poem Kore Kaghaz Ki Tarah Be-nur Babon Mein Raha for youth and Student by Yusuf Jamal. Free Download Kore Kaghaz Ki Tarah Be-nur Babon Mein Raha in PDF.