Hum Riwayat Ke Sanche Mein Dhalte Bhi Hain

hum riwayat ke sanche mein Dhalte bhi hain

aur tarz-e-kuhan ko badalte bhi hain

jada-e-am par bhi hai apni nazar

jada-e-am se bach ke chalte bhi hain

rahibana qanaat ke KHugar sahi

walihana kabhi hum machalte bhi hain

daman-e-nashsha dete nahin hat se

rind girte bhi hain aur sambhalte bhi hain

yun to iKHfa-e-gham ka namuna hain hum

dusron ke liye hat malte bhi hain

kuchh ye hai maslahat-kesh hum bhi nahin

kuchh ye ahl-e-riya hum se jalte bhi hain

naz kya is qadar aarzi husn par

shahryaron ke sikke badalte bhi hain

(865) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Hum Riwayat Ke Sanche Mein Dhalte Bhi Hain In English By Famous Poet Yusuf Jamal. Hum Riwayat Ke Sanche Mein Dhalte Bhi Hain is written by Yusuf Jamal. Read famous Poem Hum Riwayat Ke Sanche Mein Dhalte Bhi Hain for youth and Student by Yusuf Jamal. Free Download Hum Riwayat Ke Sanche Mein Dhalte Bhi Hain in PDF.