Sar Par Dukh Ka Taj Suhana Lagta Hai

sar par dukh ka taj suhana lagta hai

mera chehra kya shahana lagta hai

jab main kachcha phal tha to mahfuz tha main

ab jo paka to mujh pe nishana lagta hai

shahr-e-dil ke KHwab ki kya tabir karun

kabhi naya ye kabhi purana lagta hai

hathon mein kashkol liye tu de na sada

bahron ka to ye kashana lagta hai

aaine mein dekh ke ye mahsus hua

tera chehra kyun begana lagta hai

(921) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar Par Dukh Ka Taj Suhana Lagta Hai In English By Famous Poet Yusuf Jamal. Sar Par Dukh Ka Taj Suhana Lagta Hai is written by Yusuf Jamal. Read famous Poem Sar Par Dukh Ka Taj Suhana Lagta Hai for youth and Student by Yusuf Jamal. Free Download Sar Par Dukh Ka Taj Suhana Lagta Hai in PDF.