Sara Badan Hai KHun Se Kyun Tar Use Dikha

sara badan hai KHun se kyun tar use dikha

shah-rag kaTi hai jis se wo nashtar use dikha

aaegi kaise nind dikha wo hunar use

phir is ke baad KHwab ko chhu kar use dikha

aankhon se apne ashk ke taron ko toD kar

sukhi nadi ke dard ka manzar use dikha

dukh-sukh jo dhup chhanw ka ek khel hai to phir

suraj ke sath baadalon ke par use dikha

aae jo koi shishe ka paikar liye hue

to apne dasht-e-shauq mein patthar use dikha

puchhe jo zindagi ki haqiqat koi 'jamal'

to chuTkiyon mein ret uDa kar use dikha

(727) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sara Badan Hai KHun Se Kyun Tar Use Dikha In English By Famous Poet Yusuf Jamal. Sara Badan Hai KHun Se Kyun Tar Use Dikha is written by Yusuf Jamal. Read famous Poem Sara Badan Hai KHun Se Kyun Tar Use Dikha for youth and Student by Yusuf Jamal. Free Download Sara Badan Hai KHun Se Kyun Tar Use Dikha in PDF.