Itna Karam Ki Azm Rahe Hausla Rahe

itna karam ki azm rahe hausla rahe

is dil ke sath dard ka rishta sada rahe

apni ana ke sath jiye kaj-ada rahe

ab is ka kya malal ki be-dast-o-pa rahe

KHud-saKHta KHudaon ka mujh ko nahin hai KHauf

teri nawazishon ka bas ek silsila rahe

aadab-e-dosti se to waqif kabhi na the

tahzib-e-dushmani se bhi na-ashna rahe

ye bhi hamare daur ka ek alamiya hi hai

rahne ko sath sath rahe par juda rahe

(1109) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Itna Karam Ki Azm Rahe Hausla Rahe In English By Famous Poet Yusuf Taqi. Itna Karam Ki Azm Rahe Hausla Rahe is written by Yusuf Taqi. Read famous Poem Itna Karam Ki Azm Rahe Hausla Rahe for youth and Student by Yusuf Taqi. Free Download Itna Karam Ki Azm Rahe Hausla Rahe in PDF.