Har Lahza Meri Zist Mujhe Bar-e-garan Hai

har lahza meri zist mujhe bar-e-garan hai

wo mera lahu hai ki mera dushman-e-jaan hai

is daur mein jine ki saza kaT raha hun

har sans ki raftar mein ehsas-e-ziyan hai

uD jate hain shaKHon se sahar hote hi tair

bas rain-basera hai yahan jo bhi makan hai

donon hi junun-KHezi ke tufan mein giraftar

tahzib-e-ibaadat na yahan hai na wahan hai

rishte sabhi zanjir-e-zarurat se juDe the

ab kaun ye puchhe ki 'taqi' hai to kahan hai

(939) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Lahza Meri Zist Mujhe Bar-e-garan Hai In English By Famous Poet Yusuf Taqi. Har Lahza Meri Zist Mujhe Bar-e-garan Hai is written by Yusuf Taqi. Read famous Poem Har Lahza Meri Zist Mujhe Bar-e-garan Hai for youth and Student by Yusuf Taqi. Free Download Har Lahza Meri Zist Mujhe Bar-e-garan Hai in PDF.