Mere Bhi SurKH-ru Hone Ka Ek Mauqa Nikal Aata

mere bhi surKH-ru hone ka ek mauqa nikal aata

gham-e-jaanan ke malbe se gham-e-duniya nikal aata

ye mana main thaka-haara musafir hun magar phir bhi

tumhaare sath chalne ka koi rasta nikal aata

teri yaadon ki pathrili zamin shadab ho jati

agar aankhon ke sahra se koi dariya nikal aata

chalo achchha hua Thahra na wo bhi aaKHir-e-shab tak

ki us ke baad to phir subh ka tara nikal aata

kahan be-tab rakh sakta tha phir ehsas-e-mahrumi

dayar-e-ghair mein tum sa koi apna nikal aata

rida-e-agahi ke bojh ne KHam kar diya warna

hamara qad bhi phir tum se bahut uncha nikal aata

(881) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Bhi SurKH-ru Hone Ka Ek Mauqa Nikal Aata In English By Famous Poet Yusuf Taqi. Mere Bhi SurKH-ru Hone Ka Ek Mauqa Nikal Aata is written by Yusuf Taqi. Read famous Poem Mere Bhi SurKH-ru Hone Ka Ek Mauqa Nikal Aata for youth and Student by Yusuf Taqi. Free Download Mere Bhi SurKH-ru Hone Ka Ek Mauqa Nikal Aata in PDF.