PTriyon Ki Chamakti Hui Dhaar Par Fasle Apni Gardan KaTate Rahe

pTriyon ki chamakti hui dhaar par fasle apni gardan kaTate rahe

duriyan manzilon ki simaTti rahin lamha lamha wo nazdik aate rahe

zinda machhli ki shayad taDap thi unhen sare bagule samundar ki jaanib uDe

ret ke zard kaghaz pe kuchh soch kar nam likh likh ke tera miTate rahe

narm chahat ki phaili hui ghas ko waqt ke saKHt patthar na raunden kahen

bas yahi KHauf apni nigahon mein tha muskurane ko hum muskuraate rahe

chilchilati hui dhup ki aanch mein yun jhulasna to apna muqaddar raha

zehn mein narm-o-nazuk ghani chhanw se tere aanchal magar sarsaraate rahe

yas ki KHushk Tahni pe kaise laga baur KHwabon ka mujh se na kuchh puchhna

zindagi lamha lamha mujhe mil gai qatra qatra wo chahat luTate rahe

(871) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

PTriyon Ki Chamakti Hui Dhaar Par Fasle Apni Gardan KaTate Rahe In English By Famous Poet Yusuf Taqi. PTriyon Ki Chamakti Hui Dhaar Par Fasle Apni Gardan KaTate Rahe is written by Yusuf Taqi. Read famous Poem PTriyon Ki Chamakti Hui Dhaar Par Fasle Apni Gardan KaTate Rahe for youth and Student by Yusuf Taqi. Free Download PTriyon Ki Chamakti Hui Dhaar Par Fasle Apni Gardan KaTate Rahe in PDF.