Jis Ka Badan Hai KHushbu Jaisa Jis Ki Chaal Saba Si Hai

jis ka badan hai KHushbu jaisa jis ki chaal saba si hai

us ko dhyan mein laun kaise wo sapnon ka basi hai

phulon ke gajre toD gai aakash pe sham saloni sham

wo raja KHud kaise honge jin ki ye chanchal dasi hai

kali badriya sip sip to bund bund se bhar jaega

dekh ye bhuri miTTi to bas mere KHun ki pyasi hai

jangal mele aur shahron mein dhara hi kya hai mere liye

jag jag jis ne sath diya hai wo to meri udasi hai

lauT ke us ne phir nahin dekha jis ke liye hum jite hain

dil ka bujhana ek andher hai yun to baat zara si hai

chand-nagar se aane wali miTTi kankar rol ke lae

dharti-man chup hai jaise kuchh soch rahi ho KHafa si hai

har raat us ki baaten sun kar tujh ko nind aati hai 'zafar'

har raat usi ki baaten chheDen ye to ajab bipta si hai

(1067) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Ka Badan Hai KHushbu Jaisa Jis Ki Chaal Saba Si Hai In English By Famous Poet Yusuf Zafar. Jis Ka Badan Hai KHushbu Jaisa Jis Ki Chaal Saba Si Hai is written by Yusuf Zafar. Read famous Poem Jis Ka Badan Hai KHushbu Jaisa Jis Ki Chaal Saba Si Hai for youth and Student by Yusuf Zafar. Free Download Jis Ka Badan Hai KHushbu Jaisa Jis Ki Chaal Saba Si Hai in PDF.