Pani Ko Aag Kah Ke Mukar Jaana Chahiye

pani ko aag kah ke mukar jaana chahiye

palkon pe ashk ban ke Thahar jaana chahiye

saut-o-suKHan ke daere tahlil ho gae

qaus-e-nazar se dil mein utar jaana chahiye

ehsas ki zaban ko lughat se nikal kar

mani ki sarhadon se guzar jaana chahiye

duniya ki wusaten hain ba-andaza-e-nazar

ye dekhne ka kaam hai kar jaana chahiye

tanha nazar pe kijiye kis dil se e'tibar

dil ko bhi ta-ba-hadd-e-nazar jaana chahiye

gham-ha-e-zindagi se na tha umr bhar faragh

ab kuchh to zindagi ko sanwar jaana chahiye

jaun kahan ki KHud meri rahen safar mein hain

rahen safar mein hon to kidhar jaana chahiye

zanjir-e-makan hai jahan husn-e-la-makan

us anjuman mein bar-e-digar jaana chahiye

zamzam harim-kaba mein hai mamta ka dil

hai shart-e-zist Dub ke mar jaana chahiye

jaan ho agar mata-e-talab se aziz-tar

parwanon ko charagh se Dar jaana chahiye

yaro suna hai aap mein gum ho gaya 'zafar'

is KHanuman-KHarab ke ghar jaana chahiye

(1181) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pani Ko Aag Kah Ke Mukar Jaana Chahiye In English By Famous Poet Yusuf Zafar. Pani Ko Aag Kah Ke Mukar Jaana Chahiye is written by Yusuf Zafar. Read famous Poem Pani Ko Aag Kah Ke Mukar Jaana Chahiye for youth and Student by Yusuf Zafar. Free Download Pani Ko Aag Kah Ke Mukar Jaana Chahiye in PDF.