Wo Meri Jaan Hai Dil Se Kabhi Juda Na Hua

wo meri jaan hai dil se kabhi juda na hua

ki us ka gham hi meri zist ka baha na hua

nazar ne jhuk ke kaha mujh se kya dam-e-ruKHsat

main sochta hun ki kis dil se wo rawana hua

nam-e-saba mai-e-mahtab itr-e-zulf-e-shamim

wo kya gaya ki koi karwan rawana hua

wo yaad yaad mein jhalka hai aaine ki tarah

is aaine mein kabhi apna samna na hua

wo chand saaten jo us ke sath guzri hain

unhi ka daur raha aur jawedana hua

main us ke hijr ki tarikiyon mein Duba tha

wo aaya ghar mein mere aur charagh-e-KHana hua

wo lauT aaya hai ya meri KHud-farebi hai

nigah kahti hai dekhe use zamana hua

main apne dard ki nisbat ko dil samajhta hun

qafas jo TuT gaya mera aashiyana hua

usi ki yaad hai sarmaya-e-hayat 'zafar'

nahin to mera hai kya main hua hua na hua

(1353) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Meri Jaan Hai Dil Se Kabhi Juda Na Hua In English By Famous Poet Yusuf Zafar. Wo Meri Jaan Hai Dil Se Kabhi Juda Na Hua is written by Yusuf Zafar. Read famous Poem Wo Meri Jaan Hai Dil Se Kabhi Juda Na Hua for youth and Student by Yusuf Zafar. Free Download Wo Meri Jaan Hai Dil Se Kabhi Juda Na Hua in PDF.