Tamir-e-zindagi Ko Numayan Kiya Gaya

tamir-e-zindagi ko numayan kiya gaya

taKHrib-e-kaenat ka saman kiya gaya

gulshan ki shaKH shaKH ko viran kiya gaya

yun bhi ilaj-e-tangi-e-daman kiya gaya

khoe houn pe teri nazar ki nawazishen

aaina de ke aur bhi hairan kiya gaya

aawargi-e-zulf se aasudgi mili

aasudgi mili ki pareshan kiya gaya

wo KHush-nasib hun ki gham-e-iltifat se

mere gham-e-hayat ka darman kiya gaya

tanhaiyan bichha ke jahan-e-KHarab mein

mere liye nigah ka saman kiya gaya

phaila ke be-sabaati-e-alam ki dastan

mujh par haram kaif-e-bahaaran kiya gaya

bhaDka ke aatish-e-ruKH-e-jaanan ki aarzu

mujh ko rahin-e-atish-e-dauran kiya gaya

naumidi-e-talab pe chaDha ke talab ka rang

ummid-e-did-e-dost ko arzan kiya gaya

ye bhi karam ki mujh ko shaban-e-siyah mein

mamur-e-dil-nawazi-e-hijran kiya gaya

jamiyyat-e-jamal ka husn-e-kamal dekh

aaKHir yahi hua ki pareshan kiya gaya

de kar chaman ko bahaar-o-KHizan ka rang

mere KHayal-o-KHwab pe ehsan kiya gaya

aa aur kaenat ke phulon ki dad de

jin se tera jamal numayan kiya gaya

(1206) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamir-e-zindagi Ko Numayan Kiya Gaya In English By Famous Poet Yusuf Zafar. Tamir-e-zindagi Ko Numayan Kiya Gaya is written by Yusuf Zafar. Read famous Poem Tamir-e-zindagi Ko Numayan Kiya Gaya for youth and Student by Yusuf Zafar. Free Download Tamir-e-zindagi Ko Numayan Kiya Gaya in PDF.